Yun to dekha gya hai ki
Kisi ka hona acha lagt hai,
Par jiska na hona mujhe khalta hai…
‘Wo Tum ho’
Sab kahte hai phone par baaten karna acha lagta hai,
Par jiska miss call hi dekh kar sukoon milta hai…
‘Wo Tum ho’
Kahte hai mohabbat me sukoon hai,
Par jiska naam aate hi chemical locha hota hai…
‘Wo Tum ho’
Ru-baru hone ke lamhe bhot keemti hote hai,
Par jiske aake chale jane ka pta hi nahi chlta…
‘Wo Tum ho’
Kahte hai ke mohabbat me koi bandish nahi hoti,
Par jise chah kar bhi kuch na kah saku…
‘Wo Tum ho’
‘Na’ bolne par mai aksar maan jaya karti hu,
Par jiske mnaa karne pe bhi intezaar hota hai…
‘Wo Tum ho’
Log kahte hai inkar me jo mzaa hai wo iqrar me kahan,
Par jise sirf sochne se hi se dil ko sukoon milta hai…
‘Wo Tum ho’
Khamiya to bhot hoti hai logo me,
Par jiski khamiya bhi mujhe pasand hai…
‘Wo Tum ho’
Lakshman rekha kheech rkha hai maine apne charo taraf,
Par jiske liye mai ise bhi laang jaun…
‘Wo Tum ho’